People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 6 *

Kehta Hai Sindoor Tera-1
Lyricist: Anand Bakshi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Sadaa-Suhagan/Kabhie-Kabhie-Main-Sochoon-Sad/AQ8ufDxFZHA
Video:
kahta hai sindur tera, teri bindiya kahti hai
kahta hai sindur tera, teri bindiya kahti hai
laakho me koi ek suhaagan
laakho me koi ek suhaagan
sada suhaagan rahti hai
kahta hai sindur tera

tere aansu gire jaha pe
waha pe sundar phool khile
tere haatho se hum sabke
man ke saare ghaav sile
tune ye duniya chhodi to
ye dharti aakaash hile
teri maut pe ye kya kahna
swarg me tujhe sthaan mile
tu jivan me hi sab swarg ke
sidhiya chadh baithi hai
laakho me koi ek suhaagan
laakho me koi ek suhaagan
sada suhaagan rahti hai
kahta hai sindur tera, teri bindiya kahti hai
laakho me koi ek suhaagan
sada suhaagan rahti hai
kahta hai sindur tera, teri bindiya kahti hai
Kabhi Kabhi Mai Sochu-1
Lyricist: Anand Bakshi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Sadaa-Suhagan/Kabhie-Kabhie-Main-Sochoon-Sad/AQ8ufDxFZHA
Video:
pahle jaisi subah nahi
wo pahle jaisi shaam nahi
ye ghar to hai wahi magar
is ghar ka ab ghar naam nahi
kabhi kabhi mai sochu
kabhi kabhi mai sochu, virana kaisa hoga
viraan mere dil jaisa hoga, aur kaisa hoga
kabhi kabhi main sochu

kya socha, kya hua
mera sundar sapna toot gaya
mera sundar sapna toot gaya
pahle ek gaya
ab dooja beta maa se ruth gaya
kabhi kabhi mai sochu
kabhi kabhi mai sochu, ye narak kaisa hoga
narak mere ghar jaisa hoga, aur kaisa hoga
kabhi kabhi mai sochu

Kabhi Kabhi Mai Sochu
Lyricist: Anand Bakshi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Sadaa-Suhagan/Kabhie-Kabhie-Main-Sochoon/EV8-CUNDXXY
Video:
kabhi kabhi mai sonchu kabhi kabhi mai sonchu
kabhi kabhi mai sonchu kabhi kabhi mai sonchu
ye swarg kaisa hoga ye swarg mere ghar jaisa hoga
aur kaisa hoga
kabhi kabhi mai sonchu kabhi kabhi mai sonchu

kitne aache lagte hai ye kitne pyare lagte hai
kitne aache lagte hai ye kitne pyare lagte hai
mere bacche neel gagan ke chand sitare lagte hain
mere bacche neel gagan ke chand sitare lagte hain
kabhi kabhi mai sonchu kabhi kabhi mai sonchu
bhagwan kaisa hoga bhagwan mere pati jaisa hoga
aur kaisa hoga
kabhi kabhi mai sonchu kabhi kabhi mai sonchu
Ye Gussa Kaise Utarega
Lyricist: Anand Bakshi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Sadaa-Suhagan/Yeh-Gussa-Kaise-Utrega/FwoCXDYEaEI
Video:
ye gussa kaise utrega
ye gussa kaise utrega
mai kaise tumhe manau ji
ye gussa kaise utrega
ye gussa kaise utrega
mai kaise tumhe manau ji
kaho to kuch karke dekhu
kaho to kuch karke dekhu
tumhara dil bahlau ji
ye gussa kaise utrega
ye gussa kaise utrega

lagegi der ab kitni
tumhare muskurane me
lagegi der ab kitni
tumhare muskurane me
lagega waqt ab kitna
piya tumko manane me
piya tumko manane me
mai phulo se ya kaliyo se
ye suni sej sajau ji
kaho to kuch karke dekhu
tumhara dil bahlau ji
ye gussa kaise utrega
ye gussa kaise utrega

yahi to pyar ke din hai
yahi to pyar ki rate
yahi to pyar ke din hai
yahi to pyar ki rate
chalo is pyar ko chodo
karo tum chand ki bate
chalo tum chand ko chodo
mai bindiya ko chamkau ji
kaho to kuch karke dekhu
tumhara dil bahlau ji
ye gussa kaise utrega
ye gussa kaise utrega

mujhe hasna bhi aata hai
mujhe rona bhi aata hai
mujhe hasna bhi aata hai
mujhe rona bhi aata hai
ye rakhna yad tum mujhko
ye rakhna yad tum mujhko
khafa hona bhi aata hai
kahi tumko manane me
mai khud na ruth jau ji
kahi tumko manane me
mai khud na ruth jau ji
ha ha ruth jau ji
dekho ruth jau ji
ye gussa kaise utrega
mai kaise tumhe manau ji
ye gussa kaise utrega
ye gussa kaise utrega
mai kaise tumhe manau ji
kaho to kuch karke dekhu
tumhara dil bahlau ji
ye gussa kaise utrega
ye gussa kaise utrega
ye gussa kaise utrega
ye gussa kaise utrega
Billi Boli Meow
Lyricist: Anand Bakshi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Sadaa-Suhagan/Billi-Boli-Meon/Ki4PUhhSVXs
Video:
luk chup jana, makai ka dana
raje ki beti aayi
myau myau
billi boli myau mai aau mai aau
chuha bola thahar ja, mai pahle chup jau
myau myau
billi boli myau mai aau mai aau
chuha bola thahar ja, mai pahle chup jau
luk chup jana, makai ka dana
raje ki beti aayi

chuhe se billi boli, aa khele aankh micholi
billi boli myau mai aau mai aau
chuha bola thahar ja, mai pahle chup jau

unche ped ke niche, ek jhadi ke piche
unche ped ke niche, ek jhadi ke piche
chuha chup kar baith gaya, apni ankhiya miche
billi samne khadi thi
billi samne khadi thi, chuhe ne aankh jo kholi
chuhe se billi boli, aa khele aankh micholi
billi boli myau mai aau mai aau
chuha bola thahar ja, mai pahle chup jau
chuha bola thahar ja, mai pahle chup jau

tum man me chup jao, dhunde nain hamare
tum man me chup jao, dhunde nain hamare
chhodo meri bahe na chedo
dekh rahe hai sare, dekh rahe hai sare
aao dur kahi chalte hai, chhod ke ye toli
chuhe se billi boli, aa khele aankh micholi
chuhe se billi boli, aa khele aankh micholi
chuhe se billi boli, aa khele aankh micholi
Kehta Hai Sindoor Tera
Lyricist: Anand Bakshi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Sadaa-Suhagan/Kehta-Hai-Sindoor-Tera/KTxGfRNnD2E
Video:
dhul tere charno ki chukar
apni mang mai bharti hu
nari nahi tu devi hai
mai teri puja karti hu

kahta hai sindur tera
teri bindiya kahti hai
kahta hai sindur tera
teri bindiya kahti hai
lakho me koi ek suhagan
lakho me koi ek suhagan
sada suhagan rahti hai
kahta hai sindur tera
teri bindiya kahti hai
lakho me koi ek suhagan
sada suhagan rahti hai
kahta hai sindur tera

pati ki seva ki aisi
ke pati ko parmeshvar mana
pati ki seva ki aisi
ki pati ko parmeshvar mana
beti aur bahu me tune
koi antar na jana
teri surat dekh ke humne
to bhagwan ko pahchana
tu sabko sukh deti hai
tu hum sabke dukh sahti hai
lakho me koi ek suhagan
lakho me koi ek suhagan
sada suhagan rahti hai
kahta hai sindur tera
teri bindiya kahti hai
lakho me koi ek suhagan
sada suhagan rahti hai
kahta hai sindur tera

tune darpan me mukh dekha
to darpan ye kahta hai
tune darpan me mukh dekha
to darpan ye kahta hai
tu swaym darpan hai jise
har koi dekhta rahta hai
tere hotho se muskano ka
yu jharna bahta hai
shankar ji ki jata se jaise
ganga maiya bahti hai
lakho me koi ek suhagan
lakho me koi ek suhagan
sada suhagan rahti hai
kahta hai sindur tera
teri bindiya kahti hai
lakho me koi ek suhagan
lakho me koi ek suhagan
sada suhagan rahti hai
teri bindiya kahti hai